Friday, January 5, 2018

UC NEWS SE PAISA KAISE KAMAYE YA UC NEWS PAR APANA ARTICLE KAISE DALE

Hello Friends mai Vipin Kumar Baadshah Es article me aapko batane ja rha hu uc news me articles kaise publish kare dosto aap rojana uc news par news padte kabhi aapne socha he ki uc news par news kon likhta hai to eska jawab bhi aapko es post ko pura padne par mil jayega. to dosto aaj ham jantenge ki UC News se par articles kaisa dale, UC news se paise kaise earn kare.


Uc News Me Articles Kaise Publish Kare

Uc News Per Kon Articles Likh Sakta Hai ?

uc news ek open news platform he jis har koi apni koi news ya articles dal sakta hai. eske liye bas hme ek account create karna padta he jiske bare me es post me aage bataya gya hai.

jis prakar blog likhe jate hai usi prakar se uc news bhi public dvara hi likhi jati hai or badle me hme uc media paisa bhi deta hai jis prakar blogger par post likhne per hme adsense se paisa milta hai.


to es prakar se uc news per news likhna bhi ek prakar ka online earning paisa kamane ka accha platform hai.



Uc News Per Account Kaise Banaye ?

Dosto uc news par articles likhne ke liye aapko uc we media program per apna ek account create karna hoga .

Account banane ke liye es link par click kare  https://mp.ucweb.com/register.html

or screenshot me dikhye anusar form ko pura bhare or sabmit kar de esa karne par aapka account ban jayega.
uc news we media



1. Es box aap apna Email address likhe .

2. Yha par aap password likhe jo aap es account par lagana chahte hai.

3. Yha per fir vhi password likhe jo aapne 2 number box me likhe he.

4. Es box me yadi aapko kisi ne invite kiya hai ti uski invitation code likhe ya esko khali chod de.

5. Yha per aapko box ke pass me jo axar dikhyi de rahe he unko likhe.

6. Es box me aap uc news ki terms & conditions ko read kar le or box me checkmark lga de.

7. Ab aap form ko ek baar dhyan se dekhle or continue par click kare.


uper bataye anusar form ko bharkar continue par click karne ke baad aapki email id par ek mail aayega  usme jo code number diye gye hai unke dvara aap apna email verification kar de.

esa  karne ke baad apka uc account ban jayega account banne ke baad
aap uc news par post likh sakte hai.

agar aap chahe to facebook ya google se bhi esme login kar sakte he


Uc News Par Post Kaise Likhe ?

Uc We media program par account banane ke baad jab aap apne account ko login karenge to aapke samne aapke account ka deshbord open hoga

ab aap nya post likhna chahte ya apne likhe hue post dekhna chahte he to Post per click kare or naya post likhne ke liye New Post per click kare 

uc news

new post par click karke post likhne ke baad pahle usko save button par click kr save kar le
or baad us post ko publish kar de.

publish karne ke baad vo post aapke account me pending dikhyi degi kuch samay tak pending show hone ke baad aapki post yadi uc ki terms & condition ko follow karti he to


aapki post uc dvara publish kar di jayegi. jab aapki post published ho jaye tab

aap usko uc news par jakar dekh sakte hai
.

Uc News Se Paisa Kaise Kamaye 

jab aapke articles uc news par publish hona start ho jaye to aap uc news se paisa bhi kma sakte he uc news we media program aapko ads monetization ka bhi option deta he jisko use karke aap acha khasa paisa earn kar sakte ho 

uc news se paisa kamane ki sabse pahli shart ye ki aapke articles par 2000 se jyada views hone jaruri he tabhi aap ads ko use kar sakte he or aapka account 7 day old hona jaruri hai


uc news ads ko start karne ke liye uc news we media program ke home page par income page ko open kare ab usme aapko ads monetization ka option milega uspar click kare 

Uc News Se Paisa Kaise Kamaye

jaise hi aap click karenge aapke samne kuch terms and conditions aa jayegi unko ok karke aap apply kar sakte hai ab uc news aapke articles par ads dikhayega or aapko income hogi 

7 day me ek bar aapki income report update hogi or aapko income report show hogi

aapko meri uc news me articles kaise publish kare or uc news se paisa kaise kamaye yah jankari kaisi lagi comment karke bataye or koi help chahiye to bhi aap comment jrur kare



Related Posts:

0 comments:

Post a Comment