Saturday, January 6, 2018

Hello friend's mai VIPIN KUMAR BAADSHAH is post me aap ko bataunga ki LAPTOP YA MOBILE SE TRAIN TICKET BOOK KAISE KARTE HAI. Aap sabhi jante he ki train ka ticket online internet ke maydam se bhi book kiya ja sakta he me aapko train ki jankari or ticket book karne ke bare me btaunga.
ham me se anek logo ka manna hota he ki yah kam hamse nhi hoga ya fir ham ye soch lete he ki yah online ticket booking keval computer par hi ki ja sakti he .
train ki jankari

Lekin ab aisa kuch nhi he agar hme thoda bhut bassic trike se internet us karna aata he to ham aasani se apne mobile se bhi online train ticket book kar sakte he

to friends ab me aapko online train ticket book karne ke bare me puri jankari deta hu.

Mobile par online train ticket book karne ke liye hmare pass kya kya hona jruri he ?


1. Sabse pahle hmare pass ek bdiya smartphone hona chahiye.
2. IRCTC ka application hona chahiye.

Irctc kya he or eska application kese download kre ?

Irctc india me online train ticket book karne ki suvidha dene vali sanstha he

ham irctc ki site se ya fir eske application se train ticket book kar sakte he.
Irctc ka app download karne ke apne mobile me play store par "irctc" type kake search karna hoga or apps download karna hoga
train ki jankari

Ab aapko es application me apna nya Account (sing up) bnana
Account bannne ke liye aapko diye gye screenshot ke anushar apna mobile no adrresh or email id or apna id proof ka no dalna hoga.
train ki jankari

Account banne ke bad aap apni pasand ke hisab se railway station naam select kre or fir apni yatra ki date dale or search batton par click kre
train ki jankari

Aapko search result me kuch trains ki list show hogi aapko kis train me safar karna he us par click karna hoga click karte hi aapke saamne train ki seat ki cetgary  avalbility show hogi aap apni pasand ke anusar select kar sakte he.
Agle step me aapko add passenger par click karke apni details dalni hogi apna naam mobile no or apni age.
train ki jankari

Or end me aapko book batton par click karna hoga.
Ab agle step me paymet option dikhayi denge aap apni pasand ke hisab se credit debit ya net banking ka option select karna hoga.
Payment hone par aapka ticket book ho jayega or aapko apni booking ka pnr no sms se mil jayega.

me umid karta hu ki aapko meri post me train ki jankari bhi mili hogi

Dosto Agar aapko ticket book karne me koi bhi problem aaye to comment karke btaye. hame khushi hogi aapki sahayata karne me.

Related Posts:

0 comments:

Post a Comment